Khwaja Altaaf Hussein Haali (1837-1914)
Ishq sunte the jisse hum, woh yahi hai shayad, khud-b-khud dil mein hai ek shaksh samaaya jaata |
Milte he unke bhool gayi kulfaten tamaam goya hamaare sir pe kabhi aasman na tha |
Haali ki sunlo aur sadayen jigar-e-khraash dilkash sada sunoge na, fir is sada ke baad |
Hum jiss pe mar rahen hain woh hai bat hi kuch aur aalam mein tujh se lakh sahi, tu magar kahan |
Taajir-e-jurm ishq hai betarfa mohatab, badhta hai aur zauk-e-gunha yaan saza ke baad |
Ab bhaagte hain saaye julf-e-butan se hum, kuch dil sai darre hue, kuch asmaan se hum |
Go jawaani mein thi kazrai bahut, par jawaani humko yaad ayee bahut |
Dikhaana padega mujhe jakhm-e-dil, agar teer uska khata ho gaya |
Vasal ke ho ho ke saaman reh gaye meenh na barsa aur ghata chhai bahut |
Kheton ko de lo paani, ab beh rahi hai Ganga, kuch kar lo nau jawaano, utth ti jawaniyaan hain |
Li hosh mein aane ki jo saki se izaazat farmaya khabardaar ke nazuk hai zamana |
Mushkilon ki jisko hai Haali khabar, mushkilein aasan wohi farmayega |
Darya ko apni mauj ki tughyaniyon se kaam, kashti kisi ki paar ho, ya darmiyan rahe |
Jisne rundaapa jhel liya hai dar usse dozakh ka fir hai kya |
Kuch to hai kadar tamashai ki hai jo yeh shauk khud arai ka |
Dil mein baaki hai wohi hirs-e-gunah phir kiye se apne hum pacchtayen kya |
Tha aafat-e-jaan uska andaaz kamandaari hum bach ke kahan jaate jo teer khata hota |
Jo dil pe guzarti hai kya tujh ko khabar naseeh kuch hum se suna hota, fir tu ne kaha hota |
Ae watan ae mere bahisht-e-barin kya hue tere aasman wo zameen teri ek musht-e-khakh ke badle loon na hargiz agar bahisht mile |
Jab mila Ramchander ko banbass aur nikla ho ke watan se udaas paon utthta na tha ban ki taraf aur kheenchta tha dil watan ki taraf teer ek dil mein aake lagta tha aati thi jab Ajodhaya ki hawa |
Hind mein itefaak hota agar khaate gairon ki thokren kyonkar |
|
Haali he ko maloom hai Haali ki haqiqat mushkil hai kasak dil ki azizon ko dikhani Ayein hain sada bhaiyon se bhai bicchudte par bhai ho jis shaksh ka Haali ka sa bhai baaki rahega daag sada bhai ka dil par |
|
Sehera mein kucch bakriyon ko kasaab charrata firta tha dekh kar usko saare tumhare, aa gaye yaad ahsaan hamey |